Zaroori Tha
Lafz kitne hi tere pairon se lipte hongeTune jab aakhiri khat mera jalaya... hogaTune jab phool, kitabon se nikaale hongeDene waala bhi tujhe yaad toh aaya hoga
Teri aankhon ke dariya kautarna bhi zaroori thaMohabbat bhi zaroori thiBichadna bhi zaroori thaZuroori tha kiHum dono tawaaf-e-aarzoo karteMagar phir aarzu'on kabikharna bhi zaroori thaTeri aankhon ke dariya kautarna bhi zaroori tha
Bataao yaad hai tumkoWoh jab dil ko churaya thaChuraai cheez ko tumneKhuda ka ghar banaya thaWoh jab kehte thheMera naam tum tasbih mein padhte hoMohabbat ki Namaazo koqara karne se darte hoMagar ab yaad aata haiWoh baatein thi mahaz baateinKahin baaton hi baaton meinMukarna bhi zaroori thaTeri aankhon ke dariya kaUtarna bhi zaroori tha
Wahi hai sooratein apniWahi main hoon, wahi tum hoMagar khoya huaa hoon mainMagar tum bhi kahin gum hoMohabbat mein dagha ki thiSo kaafir the so kaafir hainMili hain manzilein phir bhiMusaafir thhe, musaafir hainTere dil ke nikaale humKahaan bhatke, kahaan pahuncheMagar bhatke toh yaad aayaBhatakna bhi zaroori thaMohabbat bhi zaroori thiBichhadna bhi zaroori thaZaroori tha kiHum dono tawaaf-e-aarzoo karteMagar phir aarzu'on kaBikharna bhi zaroori thaTeri aankhon ke dariya kaUtarna bhi zaroori tha