Mohammed Rafi "Suno suno ae duniyaa waalon.(1948)" paroles

Traduction vers:en

Suno suno ae duniyaa waalon.(1948)

Suno suno aye duniya waalon, Bapu ki ye amar kahaaniWoh Bapu jo pujya hai itna, jitna Ganga maa ka paaniSuno suno aye duniya waalon, Bapu ki ye amar kahani

Porbandar Gujarat desh mein, ek rishi ne janam liyaMaat pitah ne Mohandas, Karamchand Gandhi naam diyaBachpan khelkood mein gujra, London jaakar vidya payeeBarristor ban Africa mein, jaakar apni dhaak jamaayeeLekin jo phaani duniya mein, amar kahaane aate haiWoh kab maaya moh mein phanskar, apna samaa ganwaate haiSuno suno aye duniya waalon Bapu ki ye amar kahaani

Africa mein Hindi jan ki, badi durdasha payeeGore raaj se takkar lekar, satya ki jyot jalaayeePhir Bharat ki seva karne, apne desh mein aayaSabarmati mein satyaagrah ka, aashram aan banaayaAur khilafat kranti prant mein, sabhapati ka darjah payaIslami adhikaar ki raksha, mein bhi haath batayaHindu Muslim dono uski, aankhon ke taare thheDuniya ke saare hi mazhab, Bapu ko pyaare theSuno suno aye duniya waalon Bapu ki ye amar kahani

Bharat kaumi Congress ki, aisi dhoom machaayeeKaumi jhande ke neeche phir, janta daudi aayeeKhaadi ka parchaar kiya phir, ghar ghar khaadi aayeeAur bideshi maal ki holi, Gandhi ne jalwaayeeCharkhe ki awaaz jo goonjee, huyee machine thandeeAur shaan se lahraayee, Bharat ki trirangee jandeeSuno suno aye duniya waalon Bapu ki ye amar kahani

———————————————————-Part IV—————————————————————Suno suno aye duniya waalon, bapu ki ye amar kahaniWoh bapu jo pujya hai itna jitana, ganga maa ka paaniSuno suno aye duniya waalon, bapu ki ye amar kahani

Tees janwari shaam ko bapu, Birla ghar se baahar aayePraarthna asthaan ki jaanib, dheere dheere kadam badhaayeLekin us din honi apna, roop badalkar aayeeAur ahinsa ke seene par, hinsa ne goli barsaayeeBapu ne kaha, Raam Raam, aur jag se kiya kinaaraRaam ke mandir mein jaa pahuncha, Shri Raam ka pyaaraJao bapu, jao bapu, rahega naam tumhaaraJab tak chamke, chaand sitaare, chamke kaam tumhaara

Bapu tumne, praan diye, aur maut ki shaan badhaayeeTumne apna, khoon diya, aur prem ki jyot jalaayee

Jai Bapu ki jai Gandhi ki, bolo sab jan jai GandhiJis ne hindi muslim mein, ik dor pyar ki bandhiYaad rahe bapu ki kahani, bhool naa is ko jaayen humBapu ne jo diya jalaaya, uski jyot badhaaye humJai Bapu ki jai Gandhi ki, bolo sab jan jai GandhiJai Bapu ki jai Gandhi ki, bolo sab jan jai GandhiJai Gandhi, jai Gandhi, jai Gandhi, jai Gandhi, jai Gandhi

Ici on peut trouver les paroles de la chanson Suno suno ae duniyaa waalon.(1948) de Mohammed Rafi. Ou les paroles du poème Suno suno ae duniyaa waalon.(1948). Mohammed Rafi Suno suno ae duniyaa waalon.(1948) texte. Peut également être connu par son titre Suno suno ae duniyaa waalon1948 (Mohammed Rafi) texte.