Aurat
Qalb-e-mahoul mein larzaan sharar-e-jang hain aajHausley waqt ke aur ziist ke yakrang hain aajAabgiinon mein tapaan walwale-e- sang hain aajHusn aur ishq ham aawaaz-o-humaahang hain aajJis mein jaltaa huun usi aag mein jalnaa hai tujhe
Uth merii jaan mere saath hii chalnaa hai tujhe (x4)
Zindagii jehad mein hai sabr ke qaabuu mein nahiinNabz-e-hastii kaa lahuu kaamptii aansuu mein nahiiUrne khulne mein hai nakhat kham-e-gesu mein nahiinJannat aik aur hai jo mard ke pahluu mein nahiinUskii aazaad ravish par bhii machalnaa hai tujhe
Uth merii jaan mere saath hii chalnaa hai tujhe (x4)
Goshey goshey mein sulagtii hai chitaa tere liyeFarz kaa bhes badaltii hai qazaa tere liyeQahar hai terii har narm adaa tere liyeZahar hii zahar hai duniyaa kii havaa tere liyeRut badal daal agar phuulnaa phalnaa hai tujhe
Uth merii jaan mere saath hii chalnaa hai tujhe (x4)