Gulshan Ki Faqat Phoolon Se Nahi
Gulshan ki faqka phoolon se nahin kaaton se bhi zeenat hoti hai,jeene ke liye is duniya mein gham ki bhi zaroorat hoti hai.
Ae waaize-e-naadan karta hai tu ek qayamat ka charcha,yahan roz roz nigahen milti hai yaha raz qayamat hoti hai.
Wo pursish-e-gham ko ayae hain kuch keh na sakoon chup reh na sakoon,khaamosh rahoon to mushkil hai keh doon to shikayat hoti hai.
Karna hi padega jabt-e-alam peene hi padenge ye aansoo,fariyaad-o-fugaan se aey naadaan tauheen-e-mohabbat hoti hai.
Jo aake ruke daaman pe 'saba' wo asha nahin hai paani hai,jo ashq na chhalke aankhon se us ashq ki keemat hoti hai.