Ali Maula Ali Maula Ali Dam Dam (Punjabi version)
Ali imaam-e-manasto manam Ghulaam-e-AliHazaar jaan-e-giraamii fidaa-e-naam-e-Ali
Haidariam qalandaram mastamBandaa-e-Murtaza Ali hastamPeshvaa-e-tamaam virdaaramKe sage kuu-e-sher-e-yazdaanam
Kabhii diivaar hiltii hai, kabhii dar kaanp jaataa haiAli kaa naam sun kar ab bhii Khaibar kaanp jaataa hai
Shaah-e-mardaan AliAli Ali AliAli Maula Ali
Patthar pe alam deen ka garaa jisneLalkaar kar Marhab ko pichaaraa jisne
HaqAli Ali AliAli Maula Ali
Jap le jap le mere manvaaYahii naam sacchaa hai pyaareYahii naam tere sab dukh haareIsii naam kii barkat ne diye raaz-e-haqiiqat khol
Shaah-e-mardaan AliLa fataa illah AliSher-e-yazdaan AliTan par Ali, Ali ho zubaan par Al AliMar jauun to kafan par bhii likhna Ali Ali
Baghair hubb-e-Ali mudd'aa nahiin miltaaIbaadaton kaa bhii hargiz silaa nahiin miltaaKhudaa ke bandon suno ghaur se Khudaa kii qasamJise Ali nahiin milte use Khudaa nahiin miltaa
Basad talaash na ab kuch vus'at-e-nazar se milaaNishaan-e-manzil-e-maqsuud raahbar se milaaAli mile to mile Khaana-e-Khudaa saa hamenKhudaa ko dhuundha to vo bhi Ali ke ghar se milaa
Diid Haider kii ibaadat, hai ye farmaan-e-nabiiHai Ali ruuh-e-nabii, jism-e-nabii, jaan-e-nabiiGul-e-tathiir AliHaq kii shamshiir AliPiiron ke piir Ali
Dast-e-ilaa kyuun na ho sher-e-Khudaa AliMaqsuud har ataa hai shah-e-laa-fataa AliJis tarah ek Zaat-e-Muhammad hai be-misaalPaidaa hu'aa na hogaa ko'ii duusraa AliBedam yahii to paanch hain maqsuud-e-qaaynaatKhairunnisaa, Hasan, Hussain, Mustafaa, Ali
HaqAli Ali AliAli Maula Ali