Niyaz "Tamana" Слова песни

Перевод на:en

Tamana

Mera ji hai jab tak teri justju hai,Zabaan jab talak hai yehi guftgoo hai. (x2)

Kiya sair ham ne gulzaar-e-duniya,Gul-e-dosti mein ajab rang-o-boo hai.

Tamanna hai teri agar hai tamanna,Teri aarzoo hai, agar aarzoo hai. (x2)

Khuda jaane kya hoga anjaam is ka,Main besabar itna hun woh tund khu hai.

Tamanna hai teri agar hai tamanna,Teri aarzoo hai, agar aarzoo hai.

Nazar mere dil ki pari kis par,Jidhar dekhta hun wohi rubroo hai.

Tamanna hai teri agar hai tamanna,Teri aarzoo hai, agar aarzoo hai. (x2)

Khuda jaane kya hoga anjaam is ka,Main besabar itna hun woh tund khu hai.

Tamanna hai teri agar hai tamanna,Teri aarzoo hai, agar aarzoo hai.

Здесь можно найти слова песни Tamana Niyaz. Или текст стиха Tamana. Niyaz Tamana текст.