Jagjit Singh "ye doulath" Слова песни

Перевод на:en

ye doulath

ye daulat bhi le lo, ye shoHrat bhi le lobhale cheen lo muJhse meri jawaanimagar muJhko lauta do bachchpan ka saawanwo kaagaz ki kasthi wo baarish ka paani

mohalle ki sabse nishaani puraniwo buDhiya jise bachche kehte the naaniwo naani kee baatoN mein pariYoN ka DeRawo chehre ke JhuriYoN meiN sadiYoN ka pherabhulaaYe nahiN bhool saqta hai koiwo choti see raateN wo lambi kahaaNi

kaDi dhooP meiN apne ghar se nikalnawo chiDiya wo bulbul wo thithli pakaDnawo guDiya ki shaadi pe laDna jHagaDnawo JhooloN se girna, wo giR ke sambhalNawo pithal ke challoN ke pyaare se tho'fewo TuTi hui chudiYoN ki nishaani

kabhi re't ke ooNche Tilon pe jaanagharOnde banana, banaake miTaanawo maasoom chaahat ki tasveer apniwo khwaboN khiloNo ki taabir jaageer apnina duniYa ka gham tha na rishtoN ke bandhanbaDi khoobsoorat thi wo zindgaani

Здесь можно найти слова песни ye doulath Jagjit Singh. Или текст стиха ye doulath. Jagjit Singh ye doulath текст.